Ghareeb ki eid-e-qurbaan

Ghareeb ki Eid-e-Qurbaan

Nadeem Ahmed Ansari

Aaj Eidhul adha hai
Mahalle ke bachche naye kapde pehne
kar rahe hain, hud dang apnr range me
eid gaaho ko jane ki tayyari hai
gharo me pakwaan banne jani hain
har ek khushi me mast hai
kyun na ho
eid ka phir gasht hai
mai hi udaas baitha hun
dogane ke intizaar me
iske baad meri eid hi kya
apne bachcho ki eid manane ke liye
qurbani di hai maine apne jazbaat ki
chaahat ki, ehsasaat ki
yahan unse meelo door hun
har baar ki tarah majboor hun
dil to mera bhi chahta hai
apno me jaa eid manaun
jeb agar ijazat de
har saal gaon ho aaun
ese me ghar chala bhi gaya
bachche khush to honge
mujhe dekh kar
lekin jab wo eidi maangenge
saha nahi jayega mujh se
gaya tha khushi khushi ek baar
kese zikr karun wo haadsa baar baar
eid thi sab ki
mana rahe the sab khushi
biryaani, pulao, kabab
na laa saka mera laal, taab
bat ti hai unhi me do do botiyaan
jo chaar de gaye hon
kyun den wo ghareebon ko
koi sage lagte hain ka
tab se mai aankhen churata hun
nichawar kar deta hun
bachchon par
jo kuch jis tarah paata hun
ajee ye meri apni khushi hai, na koi saza hai
apno ke liye ye sab sahne me bhi
khushi hai, ek maza hai

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here