Tajweed se Quraan padhna wajib hai. Aur agar Namaz mein koi bagair tajweed ke qirat kar raha hai. Toh kya uski Namaz hogi? Agar Haa to kyu?
1 Answers
Tajweed kahte hain, har harf ko uske makhraj se nikalna aur uski sifaat ko ada karna, Tajweed ke Khilaf Quran padhna ya ghalat padhna ya be qayda padhna “Lahan” kahlata hai, jiski 2 qisme hain. (Jamalul Quran, pg 7)
Tajweed se Quran padhna wajib hai aur baghair tajweed ke Quran padhne wala gunahgaar hai. (Muqaddimatul juzriyyah: 1/11)
Namaz me Qirat karna yaani Quran padhna farz hai, jiske mutalliq hukm ye hai ke agar kisi ne esi galati ki jisse matlab bigad jaye to namaz fasid ho jayegi warna nahi. (see Fatawa Mahmoodiya jadeed: 7/117)
والله اعلم و علمہ اتم