Jis tarah Nabi SAW ki qabr par salam padh sakte hai usi tarah kisi bhi musalmaan ki qabr par padh sakte hai?
1 Answers
Aam musalmano ki qabr par salam ke jo alfaz khud ahadees me aye hain un alfaz se salam pesh kiya ja sakta hai. Esi kai riwayate Allama Navavi rh ne ‘kitabul Azkar’ me jama kar di hain.
Tirmizi ki ek riwayat me ye alfaz aye hain ;
السلام عليكم یا اہل القبور، یغفر اللہ لنا و لكم، انتم سلفنا و نحن بالاثر.
Tirmizi :1053.
والله اعلم و علمہ اتم