Aaj Eidul Azha hai
muhalle ke bachche
naye kapde pehne
kar rahe hain hud dang
apne hi rang mein
Eid gaahon ko jane ki tayyari hai
gharon me pakwan banne jari hain
har ek khushi mein mast hai
kyun na ho
Eid ka phir gasht hai
main hi udas baitha hun
dogane ke intizar mein
uske baad meri Eid hi kya
apne bachchon ke liye
unke cheron pe muskaan lane ki khatir
qurbani di hai maine
apne jazbaat ki
chahat ki, ehsasat ki
yahan unse meelon door hun
har bar ki tarah majboor hun
dil to mera bhi chahta hai
jeb agar ijazat de
har saal gaon ho aaun
apno mein jaun, eid manaun
ese mein chala bhi gaya
bachche khush to honge mujhe dekh kar
par jab wo eidee mangenege
kya kahunga unse main
gaya tha khushi khushi ek baar
mana rahe the sab eid
biryani, pulao, kabab
na la saka mera laal taab
taqseem hui unhi mein 2-2 botiyaan
jo 4 de gaye hon
ghareeb ko kon deta hai
kon uska saga lagta hai
isi liye aankhen churata hun
nichawar karta hun bachcho par
jo kuch jis tarah pata hun
Ji ! ye meri apni khushi ha
na koi saza hai
apno ke liye jeene mein bhi
khushi hai,maza hai