Answer for a/s tajweed se quran padhna kya zaroori hai ?

    Waalekumussalam
    Tajweed ke sath Quran padhna wajib hai aur bagair tajweed ke Quran padhne wala gunahgaar hai.(Muqaddimatul Juzriyyah: Vol 1, Page 11)
    Jo Tajweed ke Ilm ko hasil karne par qudrat rakhta ho us par wajib hai ke tajweed seekhe.
    Isliye ke Allah ta’ala ne apni kitaab Quran-e-Kareem ko isi ke sath utaara hai aur Hazrat Nabi Kareem ﷺ se Quran-e-Kareem hum tak tawatur ke sath tajweed ke sath pohoncha hai.(Al Mawsooatul Fiqhiyyah Vol 4, Page 179)
    واللہ اعلم