Alcoholic deo lagane me ye tafseel janni zaroori hai k wo alcohol kis cheez se bana hai.
Ahsanul fatwa (2/95) me hai:
Spirit agar angoor, kishmish ya khajoor se hasil ki gayi ho to bil itiifaaq najis hai aur unke siwa kisi dusri cheez se banayi gayi ho to shaikhain rh ke nazdeek paak aur imam Muhammad rh ke nazdeek najis hai.
Tahqeeq se maloom hua ke aajkal spirit aur alcohol ke liye angoor aur khajoor istemaal nahi ki jati.
Isliye shaikhain rh ke qaul ke mutabiq paak hai.
Hazraat-e-fuqha rh ne agarche fasad-e-zaman ki hikmat ki bina par imam Muhammad ke qaul ko mufta bihi qarar diya hai, magar aajkal zaroorat – e-tadaawi aur umoom-e-balwa ki riaayat ke pesh-e-nazar shaikhain rh ke qaul par taharat ka fatwa diya jata hai. Wese bhi ahl-e-fatwa ke lihaz se shaikhain rh ke qaul ko tarjeeh hoti hai.
Wallahu aa’lam.
Home Kya alcoholic deo lagaane se namaz hoti hai??
Kya alcoholic deo lagaane se namaz hoti hai??
0 Answers