Answer for a.a.w.w

    W.a
    Jab kisi musalman ka intiqal ho Jaye to uski tadfeen wagairah me jaldi karni chahiye.Rasoolullah s.a.w ne irshad farmaya hai:”jab janaza tayyar ho Jaye , to uski tadfeen me der mat Karo.”
    Fuqha ne likha h;
    Tajheez-o-tadfeen me jaldi Kare,takheer Karna sunnat ke khilaf hai.
    Behtar ye hai ke ek namaz ke waqt intiqal hua hai,to dusri namaz ka waqt khatm hone se pehle pehle dafn kar de.(Shami:3/83,zakariya,Al bahr rur raiq:2/300)