Jis par eid ki Namaz wajib ho, use agar kisi ek jagah par namaz na mil sake to dusri jagah talash karna chahiye.
Albatta agar shahar (city) mein kisi ek jagah bhi eid ki namaz ho chuki ho, to uske baad qurbani karna durust ho jata hai, chahe qurbani karne wale ne abhi namaz ada na ki ho.
Kitabul Fatawa (4/163) mein hai;
Jin maqamaat par eid ki Namaz (wajib) nahi hoti, yaani dehaat (etc), wahan fajr ki Namaz ke baad hi qurbani ki ja sakti hai aur shahar mein, jahan eid ki Namaz hoti hai;wahan eid ki Namaz ke baad hi qurbani durust hai. Agar ek Shahr mein kai maqamaat par eid ki Namaz ada ki jati ho, to sabse pahle jahaan namaz-e-eid ada ki jaye, uska etibar hoga, uske baad qurbani ki ja sakti hai. و الله أعلم
Home Answer for Jis shaks ki eid ki namaz chut jaye.. To kya...