Chappal, joote pehanne ke mutalliq in adaab ka khayal rakhe;
1-Sunnat par amal ki niyyat se pehne.
(Shamail-e-tirmizi: 76)
2-pehante waqt RHS (daahini taraf) se aur utarte waqt LHS (baayin taraf) se shuru’aat kare.
(Muslim :2097)
3-ya to dono paaon me joota Chappal pehane ya dono me se utaar de, sirf ek paaon me pehankar chalne se Nabi kareem صلى الله عليه وسلم ne mana farmaya hai.
(Muslim:2097)
4-Zaroorat ke waqt jab joota Chappal uthaye to LHS (baayein hath) se uthaye.
(Uswa rasool-e-akram صلى الله عليه وسلم :150)
والله أعلم
Home Answer for Chappal pehen ne ki kya sunnat hai?