Answer for Qurbani se pehle baal aur naakhon kaatna jaiz hai?

    Rasoolullah صلى الله عليه وسلم ne irshad farmaya :
    Jab tum zilhijjah ka chaand dekh lo aur tumhara qurbani ka irada ho to tum (qurbani tak) baal-o-naakhun kaatne se ruke raho.
    (Muslim :1977, Tirmizi:1523)
    Lekin ye hukm istihbabi hai aur sirf qurbani karne walon ke saath khaas hai, wo bhi is shart ke sath, ke naam ke baghlo ke neeche ki safai aur naakhun kaate hue 40 din na guzar gaye hon, agar inhe 40 din guzar gaye hon to inki safai wajib hai.
    (Ahsanul fatawa :7/497)
    Aur hadees me jo mana kiya gaya hai, uska matlab ye hai k agar koi kaat hi le to esa karna behtar nahi.
    (Aela ussunan :16/8004)
    والله أعلم