Answer for Zil hijjah ki pehli dus raato ki jus fazeelat hai?

    Allah ta’ala ne surah fajr me Jin 10 raato ki qasam khayi hai, wo 10 raatein JAMHOOR ke qaul ke mutabiq zilhijjah ki pehle ashre ki raatein hain.
    (Ma’ariful Quran :8/793)
    Aur Rasoolullah صلى الله عليه وسلم ne irshad farmaya :
    Allah ta’ala ke nazdeek sabse zyaada pasandida amaal; Zilhijjah ke shuru dus dino ki nekiya hain… Dusre dino ka jihaad bhi, iski barabari nahi kar sakta, jab tak k usme apni jaan aur maal sab kuch na kharch kar diya jaye.
    (Bukhari :969, Abu dawood :2438)